Copyright

Like page

Sarvshakti Singh

Sarvshakti singh
Latest information
recent

Sahi ya galat

Sahi ya galat :-

Hello doston,mai sarvshakti singh ap sabhi ka swagat karta hu.aaj hum ek aise topic par baat karege. Jisko lekar hamare man mai ek sawal uthata hai ki....kya ye sahi hai ya galat???

   
Right or wrong
    Jee haan doston Aaj Hum Ek aise hi topic pe baat karenge, Dosto kabhi kabhi Hamare saath kuch Aisi ghatnaye Ghat Jati Hai .Jinke baare main Hum sochte Hain Ki Kya Sahi tha ya galat aise hi Ek ghatna. Main Apni batata hoon aap logo ko.
       Ek baar Main Apne uncle ke sath ghumne gaya tha .wahan par Ek Bhikhari tha.jo ki bheekh maang raha tha. Uski Halat bahut kharab thi .Wah bahut bhukha tha aur logo se kuch Paiso Ki madat mang raha tha. magar uska madad karne wala Koi Nahi Tha .maine use Dekha Mujhe Bahut Dukh hua. Main Kya kar sakta tha .Chhota bachcha Jo tha .Main Jab Bhi use Bhikhari ko dekhta tha To mere uncle gussa Karte aur Mujhse kehte the. Us Taraf Na Dekho maine pucha ki kyu ???unho ne  bola sab Hum Par hasenge.
       Phir maine pucha Kyu log Hum par hi hasenge ?Phir Uno Ne gusse Se Bola faltu ke sawal mat Pucho aur Chup chap Khade Raho Nahi To Dobara kabhi Mela ghumane nahi launga .tab Mai chup chap shant hokar khade ho gaya. lekin Phir bhi main Us Bhikhari ko dekhta tha. Main dekh raha tha ki wah Bechara sabse kuch madad mang raha hai. Magar Koi us par Dhyan hi nahi de raha hai.pata nahi kyu Mujhe bura laga .uski Halat ko dekhkar mere man mein ek Vichar aa raha tha. ki agar Uske Jagah Mein Hota aur Is Tarah madad mang raha Hota aur koi Meri madad nahi karta Phir Mere Sath Kya Hota .Yahi Soch Raha Tha Tab Se Mere uncle Mere Liye Jalebi Samosa lekar aayega Jalebi Samosa meine le liya aur Mujhe achha bhi Laga.kyu ki baccha tha to Yeh Sab mujhe bahut achha Lagta tha .Samosa Jalebi dekar mere uncle Phir Kahin Chale gaye.do Samose the usme se ek Samosa main kha liya .ab Ek samasya aur Jalebi bacha maine deka ki uncle nahi hai aur koi Dekhe nahi raha hai to main Chup chap ja kar us Bhikhari ko Samosa jalebi de diya Woh Samosa Jalebi pakar Itna Khush tha. Mano jaise ki koi Sone ki khadan Mil Gaya Ho. usse Dekh Ke Mujhe bahut accha laga mere uncle Mujhe rok rahe the. maine Unki baat nahi Mani thi isliye . Darr Bhi lag raha tha  .lekin use Khush Dekhkar main bhi Khush tha Kuch der baad mere uncle aye aur Mujhse puche ki Jalebi Samosa Kya Kiya? maine bola Ek  samosa maine kha liya aur ek samosa niche gir gaya. Phir Mere uncle  ne  kuch nahi bola Aur Hum Log Mela dekh kar Ghar Wapas aa gaya. Ghar Wapas aane ke baad Maine Socha Ki mere uncle ya waha par aur log jo ki wahan par Khade  the . us bhikhari ko dekh rahe the Woh log uski madad kyu nahi kar rahe the ?
    Isliye Kyunki Woh log acche acche aur naye kapde pehne thi isliye? ya phir Unhe uski madad karne mein  Sharam mahasus Ho rahi thi .Ye bhi to Ek Taraf Se dikhawa hi hai. Hum Aap Sahi karna chahte hain Magar Phir Bhi nahi kar Pate. Yeh Soch kar ki log kya Sochenge. Hum logo ke baare mein Soch kar achha kaam nahi kar sakte us Bhikhari Ke Paas Jane Se Sab Sharma rahe the .pata nahi Magar Koi Mahapurush Uske ke Paas jakar uski madad karta to Kitna achha Hota.

Right or wrong


     Mai us samay yahi soch raha tha.ki us bhakhari ki madad to kiya aur apne uncle ki baat ko andekha bhi kiya.kyuki humein yahi sikhaya gaya tha.ki apne se bado ki baat hamesha suno.mere uncle ke mana karne ke baad bhi maine us bhakhari ki madad ki...pata nahi .ye sahi kiya ya galat.
   Magar aisa karke mujhe bahut achha laga.toh ye thi.meri life ki ek choti si kahani. jo ki mai ap logon ke saath share kar raha hu.


   Ise bhi jarur dekhe...


Sarvshakti singh

Sarvshakti singh

No comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.